PM Kisan Samman Nidhi Registration, EKYC, Status aur Kist ki Date

PM Kisan  Samman Nidhi
PM Kisan  Samman Nidhi

Pradhan Mantri Kisan Samman Nidhi yojona ke tahat kisano ko 6000 Rupyay Salana tak ki rakam 2000 hazaar Rupyay ke 3 kiston main kisanon ke bank khaton ma jamah ki jati ha. Ye yojana sirf kinano ke liye mukhtas ki gayi hai. Agar abhi tak ap ne Registration PM kisan samman nidhi Yojana main nahi ki ha to aaj hi Apna Registration PM kisan samman ki Official web site par ja kar karen aur Pm kisan smman yojona ka laab uthayen.

Yahan aap paden gay PM Kisan Samman Nidhi Registration, EKYC,  Status aur Kist ki Date ke baray main pori jaankari.

PM kisan Samman Nidhi kab shoru hoyi?

PM Kisan Samman Nidhi ka elan farwary 2019 ma abori unoin bajat mai piyush goyal ne kiya tha. PM Kisan samman nidhi se lakho kisanon ko faida mil raha ha. Is Yojana ke liye 2018-2019 main 20 hazar karod (Rs.20,000 Cr)Rupyay mukhtas kiyay gaye thay. 

PM Kisan Samman Nidhi ke zaryay PM Narindar Modi nay is yojona ki pehli kist Gorakhpor uttarpradesh ma kisanon ko de kar is ka agaz kiya tha, jis main har kisan ko Rs. 2000 unke bank khaton main jamah karaya gaya.

PM kisan Samman Nidhi ki kist kitni ha?

Is yojana ke tahat har sal Rs 6000 faraham ki jati ha, jo ki teen kiston main di jati hay. Kist main Rs.2000 faraham kiyay jatay hain jo ki kisanon ke bank khaton main hi jamah kiyay jate hain.

PM kisan Samman Nidhi kaisay hasil karen?

Apna Regitration Karen:

PM Kisan Samman Nidhi hasil karne ke liye kisan apna Registration Govt ke official website https://pmkisan.gov.in par karen, Aur Goverment ki PM kisan samman nidhi yojona ka laab uthayen.

PM Kisan Samman Nidhi ki 14 kist kab aayegi?

PM Kisan Samman Nidhi ki 14 kist May 2023 ke aakhri haftay ya june ke pehlay haftay main aa sakti hay?

PM Kisan Samman Nidhi ki kist status kaisay pata karen?

Aap apna PM Kisan Samman Nidhi Status ko aisay check karen:

Aap PM Kisan Samman Nidhi 14ve kist ka Status aadhaar number, Mobile number aur Registration number ke zaryay se PM Kisan Samman Nidhi ki official website https://pmkisan.gov.in par ja kar pata kar saktay hain.

PM Kisan Samman Nidhi ki 13ve kist kab jari ki gayi thi?

PM Kisan Samman Nidhi ki 13ve kist 27 farwary 2023 ko jari kar ke kisanin ke bank khaton main jamah kar di gayi thi.

PM Kisan Samman Nidhi kyc status kiasay pata karen?

Aap PM kisan yojona ki help line NO 155261 / 011-24300606 se apna kyc status pata kar saktay hain, iske ilawa ap apnay Aadhaar Number , Mobile Number aur Registration Number se bhi PM kisan samman nidhi portal par ja kar pm kisan samman nidhi Status ko check kar saktay hain.

PM Kisan Samman Nidhi ekyc kaise kare?

Ekyc Update karne ke liye apka Aadhaar moble number ke sath link hona Chahiye, kyn ki ekyc update kartay waqat OTP apke moblile par aa jaye ga jo apko potal par ekyc update kartay wakat barna hoga. agar apka aadhaar mobile number se link nahi ha to ap ekyc ko Government ke Pm kisan samman nidhi portal par update nahi kar sakhen gay.

PM Kisan CSC Login

Ghar baithay New Registration ke liye Official wbsite pmkisan.gov.in par ja kar ekyc regitration karen aur PM Kisan Samman Nidhi yojana ka faida uthayen.





Comments